10.4.09

Par bolo toote pyaalon par kab madiralay pachtata hai ?



Jeewan mein madhu ka pyala tha,
Tumne tan man de daala tha,
Woh toot gaya toh toot gaya.

Madiralay ka aangan dekho,
Kitne pyaale hil jaate hain,
Gir mitti mein mil jate hain.

Jo girte hain kab uthte hain,
Par bolo toote pyalon par kab madiralay pachtata hai ?

Jo beet gayi so baat gayi...


-3rd stanza from Harivansh Rai Bachchan's Jo Beet Gayi So Baat Gayi (Madhushala)

madhu~Happiness madiralay~Life pyala~Mind